Monday, December 7, 2009

Pathrile Khwaab

Ek unsuni si aatma,
Cheek rahi hai kone se,
Ek khwaab hai jo pura na hua,
Dildaar hai jo haath se chut gaya.

Phir bhi hai kashish,
Ek koshish, ek antim abhilasha,
Saason ko bhulane ki kasar na chodi.
Yaadon ko bandkar hatheli mein door kayi phenk aaya,
Phir bhi hai talaash, jane kiski hai talaash?
Kahi un yaadon ki toh nahi?


Woh hansiyon ki baarish,
Woh unsuni si khwaaish,
Woh pyaar dard mein lipti hui,
Woh dard pyaar mein bandhi hui!


Har pal tanha hai, har pal sunehra,
Kitni yaadein saamayi hai, dil hai gehra,
Aaj dard ko na roko,Behne do aansuon ka saagar,
Ek lamha, ek boondh se bhara.
Khele, tatolo us boondh ko tum,
Hulchul ho koi toh hone do,
Phir khilo usse aur
Sajao ek naya savera.